"Thehri Thehri Si Zindagi" a song Against Child labor by Sufiesta - Video
PUBLISHED:  May 25, 2012
DESCRIPTION:
"Thehri thehri si zindagi"
A song Against Child labor Sponsored By Swastika Investmart :) :D

Here are the lyrics :)

Ye gana un masoom se baccho ke liye likha gaya hai jo apni
zindagi ki kitab na apna bachpan likha sake aur na inki kalam
me itni syahi hai jo apna Bhavishya likh paaye
"Thehri Thehri Si Zindagi"

Thehri thehri si Zindagi..
Khoyi khoyi si hai khushi..
Sehma sehma Sa chehra hai..
Dhundla dhundla sa bachpan hai..
Pyaari pyari nigaho me pariyo ke nazare hone the..Par
tanha andheri raato mein kyu ghum ke badal chaaye hai..
khaamoshi ko seh kar jaise chidya sab kuch sunn rahi..
aur behti haao mein jaise koi titli behkar ghum gayi..
udta hua parinda jaise toofano mein ulajh gaya..
kagaz ki thi kashtiya wo ab kagaz bhi galne laga..
Thehri thehri si Zindagi..
Khoyi khoyi si hai khushi..
Nazuk si hatheli mein kyu patthar jaisa bojh hai..
Band si chuppi me chupi muskurahat kaid hai..
Dekhta jab hum umar ko khelta aur nachta..
Sochta kyu main bhala hun is jagah aur wo waha..
Thehri thehri si Zindagi..
Khoyi khoyi si hai khushi..
Pholo se pehle ki kaliya kyu angaan mein na khil rahi..
Sawan barsa hai fir bhi murjhaane lagi hai har kaali..
Thehri thehri si Zindagi..
Khoyi khoyi si hai khushi..
Sehma sehma Sa chehra hai..
Dhundla dhundla sa bachpan hai..

Featuring
NAKUL - COMPOSER/ LYRICIST/ VOCALIST
DEVASHISH - MUSIC
AYUSH - DIALOGS & BACKING
STUDIO PARTNER - AUDILAB Indore (Mr. ANAND SINGH)

SPECIAL THANKS To SWASTIKA , AUDILAB & TEAM SUFIESTA,
follow us on Twitter      Contact      Privacy Policy      Terms of Service
Copyright © BANDMINE // All Right Reserved
Return to top