बंसी की धुन सुन तेरे लिए लाई हूं चुनचुन बगिया के फूल..Taj1956_Lata_Rajinder K_ HemantKumar_a tribute - Video
PUBLISHED:  May 30, 2015
DESCRIPTION:
Song :bansi ki dhun sun tere liye chun chun...
Film : Taj ,1956,
Singer : Lata,
Lyricist : Rajinder Krishan,
Music Director : Hemant Kumar,
Director : Nandalal Jaswantlal,
Cast : Pradeep Kumar,Vyjayantimala,Bipin Gupta,Jeevan,Helen,Ulhas,Amar,Jajo,Kathana,Qamar,Roopmala,Shakuntala Paranjpye,Kammo,
Production Co: Dossi Films,
Lyrics :-
bansi ki dhun sun
tere liye chun chun
laayi hoon main bagiya se gori gori kaliyaan
bansi ki dhun sun
tere liye chun chun
laayi hoon main bagiya se gori gori kaliyaan
nikli hoon chup chup
ghar se main gup chup
aayi hoon sajaane balam teri galiyaan
bhole sajan tere dil ki jalan
main to jaan gayi
jaan gayi
jaan gayi re
bhole sajan tere dil ki jalan
main to jaan gayi
jaan gayi
jaan gayi re
teri nazar kise dhoondhe idhar
main to jaan gayi
jaan gayi
jaan gayi re
teri meethi nazar pehchaan gayi re
duniya se bach bach
kehti hoon sach sach
aayi hoon sajaane balam teri galiyaan
bansi ki dhun sun
tere liye chun chun
laayi hoon main bagiya se gori gori kaliyaan
baanki palak yeh saloni jhalak
mohe maar gayi
maar gayi
maar gayi re
baanki palak yeh saloni jhalak
mohe maar gayi
maar gayi
maar gayi re
teri kasam yeh suratiya balam
mohe maar gayi
maar gayi
maar gayi re
main to baithe bithaye jiya haar gayi re
dil mera pal pal
kehta tha chal chal
aayi hoon sajaane balam teri galiyaan
bansi ki dhun sun
tere liye chun chun
laayi hoon main bagiya se gori gori kaliyan
nikli hoon chup chup
ghar se main gup chup
aayi hoon sajaane balam teri galiyaan..
follow us on Twitter      Contact      Privacy Policy      Terms of Service
Copyright © BANDMINE // All Right Reserved
Return to top